Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name NA 
Question Asslam-o-Alaikum, m apni wife ko mukhtalif aukaat mn teen defa talaq keh chuka hn,teneeo defa ghusay mn kaha he. do defa khnay k bd hamri sulah ho gaie thi, lakin tesri defa meri wife ko bht ghusa ayea, meri niyaat nhi thi ke m us ko talaq bolun , lakin us ne gher ki chezain torna shuru kr din, muj per phainkna aur marna shuru kr dn, jis ki result m meri zubaan se woh alfaaz ada ho gaye, yeh alfaaaz m ne urdu m kahay thay, meri niyyat nahi thi, koi gwah nhi thay, m ne usi raaat apni wife se hambistri ki thi, to please ap mujhay btaen k talaq hui he ya nan? mn ap ka bht shuker guzar hn ga. 
Answer Ye talaq sahi nahi hay. Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.