Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayotullah Sistani 
Question Paper money is against gold reseves of the country.Then why not Zakat on it. 
Answer Zakat 10 cheezoon par daina wajib hay. 1:Gandum(wheat).2:Jau(barley).3:Khajoor(date).4:Kishmish.5:Sonay k raa’Ie’jul waqt sikkay(Current Currency Coins).6:Chandi kay sikkay. 7:Oont(camel) 8:Gaey(cow).9:Bhairh bakri.10:Maal-e-Tijarat par ehteyaat lazim ki bina par. in main say har aik jab apnay muqarrirah nisaab per pohanch jaay tu in per zakat daina wajib hoti hay Laihaza aap k gold per zakaat wajib nahi hogi. Albattah agar sonay ko khareednay k baad pehlay saal istemaal nah kia gaya ho tu khums wajib hoga.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1820,1865,1735). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.