Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sistani 
Question is love is rong in islam and also love marrieg 
Answer Kisi bhi ghair ikhtari amal per shariat koi hokum nahi lagati he lakin yad rahey , shariat kisi bhi aise artibat ki ijazat nahi deti jo inhein haram ki taraf le janay wala ho. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 137, pg # 65) jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahi Q k ghunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). Pasand ki shadi ko islam na-pasnd nahi samajhta.balkeh munasib hay k merd jis khatoon se shadi kerna chata hay os main in sifaat ko paish e nazar rakahy jo aik misaali khatoon main honi chahiay jo paak daaman, shareeful asl or naik ho or dunyavi or ukhravi mamilaat main shohor ki madad gaar sabit ho.merd k liay munsib nahi hay k bivi k intekhaab main iski nazar sirif oska zahiri husun wa Jamaal or maal o daulat ho. Isi terah aurat or os k wali(baap/dada) ko chahiay keh on sifaat or khasaais ko ehmiyat dain jin ka shohor main hona zarori hay.aurat ko chahiay keh wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo deendaar,paak daman,or baa akhlaaq ho.sharabi nah ho or buraeyoo or muhliq gunaho ka irtekaab nah kerta ho.( Ref:A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah # 386,387) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.