Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question assalam o alaikum.mere waild ka inteqaal 4 jan 2017 ko hua.mai apni walda ko umrah me le kr ja rahi thi march k mahene me meri waldah ne jis raat un se ijazat li usi raat mere walid ka inteqaal ho gya.masla ye h k ab iddat k din pure nahi ho ge march tk to kya meri waldah umrah me ja sakti h ya nahi? 
Answer Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay,laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481,2482). Update on dated 06-01-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.