Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Khula 
Question As salam Alikum, mera sawal hai kai, agar larki ka nikha huwa ho or larka us ko passand na ho phir bhi ghar walon kai kehne pe nikha huwa to kya woh nikha ho gaya ? or larki nikha kai baad se 2 saal ho gaye woh tallaq mang rahi hai or larkay ne phone pe tallaq day di hai magar woh kehta hai kai 2 baar main nai tallaq kaha tha or 1 baar DALLAQ kaha tha to kya tallaq ho gayi.? larki us se shadidt nafrat bhi karti hai ... mujhe please is ka jawab bata dayn 
Answer Agr larka ya larki nikah per razi na hon or unhen majboor kiya jaye to hone wala nikah sahi nahi hoga, is surat men ksi talaq ki zarurt nahi rahegi, albatta agr zahiri tor per na-pasandeedgi ka izhar kren lekin dil se razi hon, ya phir nikah k bad wo koi aysa kaam anjam den jo unki razamandi per dalalat krta ho to nikah ko sahi mana jayega, Lekin mazkoora tareeke k mutabiq di gai talaq sahi nahi hogi. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335—39-2462). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.