Answer |
Agar koe shakhs aik aisi aurat se nikaah kare jo dosre ki iddat mein ho to agar mard aur aurat dono ya in mein se koe aik jaanta ho keh aurat ki iddat khatam nahi huye aur ye bhi jaante hoon keh iddat k dauran aurat se nikaah karna haram hai to agarcheh mard ne nikaah k baad aurat se jama nah bhi kiya ho to wo aurat hamesha k liey os par haram ho jaey gi. Aur agar dono iddat k dauran hone ya iddat mein nikaah k haram hone se be-khabar hoon to nikaah batil hai, agar hambistari bhi ki hay to hamesha k liey haram ho jaeengay- Agar hambistari nah ki ho to haram nahi hain aur iddat khatam hone k baad dobara nikah kar sakte hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2365). Update on dated 27-01-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). |