Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name ayatulla sistani 
Question salamun alaikum....mera sawal ye hai k agr hm namaz padh rahe ho aur koi hme salam kare to hme kya karna chahiye... 
Answer Agar koe shaks kisi aisay shaks ko salam karay k wo shaks namaz perh raha ho tu tu namaz perhnay walay shaks k liay zarori hay k jawab day.laikin jawab salam k jaisa ho yani zarori hay k asal salam per izafa nah ho,…maslan agar kaha gaya ho : salaamun alaikum tu jawab main kahain :salaamun alaikum or agar kaha gaya ho k: assalaamo alaik tu jawab main kahain: assalaamo alaik or agar kaha gaya ho: alaikumos salaam k jawab main alaikumos salaam, assalaamo alaikum, salaamun alaikum kehsaktay hain.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 1124) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.