Answer |
Jee haan ye sahi he magar jo musafir zohar, asr aur isha ki namazain qasar kar k parhta ho os k lie makrooh he k in namazoon me aisay shakhs ki iqtida karay(yani paish namaz banna) jo musafir nahi he. Aur jo musafir na ho os k lie makrooh he k in namazoon me kisi musafir ki iqtida karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1471) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) |