Answer |
Rozana ki wajib namazain 5 hein.
1, 2 - Zohor 4 rakaat or Asr 4 rakaat(zohr aur asr ki namaz ka waqt zawal e aftaab k baad se garoob e aftaab tak he. )
3,4- Maghrib 3 rakaat or isha 4 rakaat (magrib aur isha ki namaz ka waqt maghrib honay se aadhi raat tak baqi rehta he.)
5- Fajar 2 rakaat (Fajar ki namaz subah k qareeb mashriq ki taraf se aik safaidi opper uthti he jise fajar e awwal kaha jata he aur jab ye safaidi phail jaay to wo fajar aur subah ki namaz ka awwal waqt he aur subah ki namaz ka aakhri waqt suraj nikalne taq he.)
(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 717 to 729) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|