Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question salam mera question ye hai k wali w faqih ki kia hesiat hai aur is ka wajood aaimma k zamany me tha ya nai aur agar nai tha to ab q hai plz answer 
Answer Fuqaha ki Ibaratoon main maujood lafz-e-Wilayat jo Umoor-e-Hisbiya (Umoor-e-Hisbiya say muraad wo umoor hain jin ko Sharae Muqaddas Moattal nahi karna chahta jaisay Amwaal ko Yateemoo tak pohunchana) k liay Istemaal hota hay aik aisa ikhtiyaar hay jo har Jaamay ush Sharait mujtahid k liay saabit hay laikin wilayat ka wo mafhoom jo k zikr karda tareef say ziyada wasee hay aur wo un tamaam umoor ko shamil karta hay k jis par aik Ijtimaee Islami Nizaam mauqoof hota hay.wo aisay shakhs k liay hoga jo faqeeh bhi ho aur is k control main koe ilaqa bhi ho jis par amal daraamad k liay kuch mazeed sharait bhi hain aur wo ye hay k wahan k momineen k nazdeek us faqeeh ko achi khasi maqbooliyat hasil ho.(Ref:Istiftaat A.Sistani I-3). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.