Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name agha sistani 
Question agar ak shakhs ko tashahud parhtey waqt shaq ho jae k is ney do rakat parhi hain ya teeen to????????? 
Answer Chand sorato main agar kisi ko 4 rakati namaz ki rakato ki tadaad k baray main shak ho tu zarori hay keh fauran ghor o fikr karay or agar yaqeen ya gumaan shak k kisi aik taraf hojaay tu osi ko ikhteyaar karay or namaz ko mukammal karay warna shkiyaat e namaz k maslay per amal karay. Namaz ki rakaat main 9 qisim k shak sahi hain.jin main se aik ye hay k “ dosray sajday main dakhil honay k baad shak karay keh 2 rakatain perhi hain ya 3 rakatain, is sorat main osay u samajh laina chahiay keh 3 rakatain perhi hain or 1 rakat or perhay phir namaz ko mukammal karay or namaz k baad 1 rakat namaz e ehtiyaat kharhay ho ker baja laay.ehtiyaat e wajib ki bina per baith ker 2 rakat namaz e ehtiyaat kafi nah hogi.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 1186(1)) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.