Answer |
Razeeq, hazrat Imam jaffer Sadiq a.s se riwayat kerte hain keh hazrat ameer(yani hazrat Ali) a.s ko ye ittela mili k khuch loog masjid main namaz e ba-jamaat main hazir nahi hote tu aap a.s ne khutba daite hoay fermaya: khuch loog hamari masjid main hamaray sath namaz e ba-jamaat main hazir nahi hote tu onko chahiay k wo nah hamaray sath khaein or peein, nah hum se mashwara karain, or nah nikah o izdewaaj or nah hi hamaray maal e ghanimat main se hissa lain ya phir(apni harkat se baaz aaen or) hamaray sath namaz e ba-jamaat main shamil hoon, warna qareeb hay k main hukum doon ga or in k gharoon ko aag laga di jaey ya wo baaz aa jain(raawi ka bayaan hay k hazrat ameer a.s k is ailaan k baad) aam logo ne aise logo se khana peena or baahami aqd o izdewaaj kerna terk ker diya yaan tak k wo loog (majboor ho ker) musalmano k sath jamaat main shamil hone lagay. (Ref: Wasaelush shia, part#3,Baab masajid k ahkaam, baab#2, hadees#8, terjuma, pg#367, Ayatullah Muhammad hussain najafi). Update on dated 15-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). |