Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name aaqae-sistani 
Question qaza tashhud ki adaegi ka tareqa kya hai? plz explain in detail.. 
Answer Agar koi shakhs tashahud perhna bhool jay or kharha ho jay or ruku se pehlay osay yaad aay(yaqeen hasil hojaay) keh os nay tashahud nahi perha tu zarori hay baith jay or tashahud perhay or phir dobarah kharha ho or os rakat main jo khuch perhna zarori hay perhay or namaz mukammal karay.ehtiyaat e mustahab ki bina per qiyaam ki ziyadati k liay 2 sajda sehw baja laay or agar ruku main ya os k baad yaad aay tu zarori hay k namaz ko tamaam karay or namaz k salaam k baad ehtiyaat e mustahab ki bina per tashahud ki qaza karay.zarori hay k tashahud k lie do sijdah e sahw baja laye. 3)Agar insane tashahud bhool jay aur namaz k baad un ki qaza baja laye to zurari he k wo namaz ki tamaam shra’it maslan badan aur libaas ka paak hona aur qibla ki janib moonh karay aur deegar shra’it puri karta ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1089, 1238). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.