Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Agar koi shahs shaded zahmi ho our zaham ki jaga per pani mana ho to usko kaise ghusal Karna chahie  
Answer Ghusl-e-mayyit k ‘ilawa tamam qisim k ghuslo mein jabira ghusl, jabira wuzu ki tarah hai. Lekin ehtiyat-e-lazim ki bina par ye zarori hai keh ghusl ko tartibi tariqe se anjam diya jaay aur agar badan par zakham ya phorha ho to mukallaf ko ghusl ya tayyam,mum ka ikhtiyar hai. Agar wo ghusl ko ikhtiyar karta hai aur zakham ya phorhe par jabira nah ho to ehtiyat-e-mustahab ye hai keh zakham ya phorhe par paak kaprha rakhe aur is kaprhe k opar masah kare. Agar badan ka koe hissa tota hua ho to zarori hai keh ghusl kare aur Ehtiyatan jabira k opar bhi masah kare aur agar jabira par masah karna mumkin nah ho ya jo jaga toti hue hai wo khuli ho to tayyam,mum karna zarori hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #338) Update on dated 11-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.