Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question mai nay ghussay ki halat mai apni biwi ko 3 talaaqien aik sath day dien meray 2 betay hain aik 9 months ka hai aur bara 2 years ka baad mai mujh ko ehsas hoa k mai nay ghalat kia hai tu kia talaaq ho gae? Aksar log biyan kartay hai k hazart umar farooq r.a k dour mai unhon nay is ko 1 talaaq qarar dia tha plz koi hul bataien main buhut praishan hon 
Answer Note : is web site me fiqah e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Talaaq k sahi honay ki chand shra’it hain. 1) Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462 to 2464) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.