Answer |
Agar kisi shakhs kay badan say koi ratoobat kharij ho aur wo ye na janta ho kay mani hay ya peshab ya koi aur cheez,agar wo ratoobat shehwat kay saath aur uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay baad badan sust hogaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hay laikin agar in teen alamaat main say sari ki sari ya kuch maujood na hoon to wo mani ka hukum nahi rakhti,laikin agar insaan beemar ho to zaroori nahi hay kay wo ratoobat uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay waqt badan sust bhi ho jaey balkay sirf shehwat kay niklay to wo bhi mani ka hukum rakhay gee.Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wazoo ko bhi batil nahi karti (namaz parh saktay hain.)aur wo ratubat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay wida kehtay hain agar is sai peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahi hota hai mazeed ye k jab kise shaks ne pheshaab k baad astabra kiya ho aur is k baad istabra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshaab hai ya maskora baala 3 ratoobato me se kohe aik to wo paak hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70,345). Update on dated 13-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). |