Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question ramzan ki zakat (fitra) ke mustahik koon hai 
Answer Fitra ethiyat e wajib ki bina per faqat un shia 12 imami shia faqiro ko dena zaroori he jo in shra’it per puray utartay hoon jin ka zikr zakat k mustahikeen me ho chukka he aur agar sheher (city) me 12 imami shia faqeer na mlain to doosray musalman faqiro ko fitra day sakhtay hein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1972). Jis faqeer ko fitra diya jay tu zarori nahi hay keh wo aadil ho laikin ehtiyaat e wajib ye hay k sharabi, bay namazi or jo khul’lam khulla gunah kerta ho osay fitra nah diya jay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 1974) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.