Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question کیا عورتیں حیض میں قران اور نماذ پڑھ سکتی ھیں؟ 
Answer Halat e haiz main namaz or os jaisi digar ibadatain jinhain wuzu, ghusl ya tayammum k sath ada kerna zarori hay, agar is niyat se anjam day k sahi amal anjam day rahi hoon, jaiz nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #456). Halat e haiz main wajib sajday wali 4 ayaat perhna jaiz nahi hay. Haiz k liay quran majeed ka perhna or osay apne sath rakhna or apne badan ka koe hissa os k sath alfaz k dermiyani hissay se mas kerna neez mehendi ya os jaisi kisi or cheez se khizab kerna grooh e fuqaha k qaul k mutabiq makhrooh hay. Update on dated 21-03-17. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #354,448,467)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.