Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question mai ek Hindu ladki hun meri age 28 hai,or ek shia ladke se nikah karna chahti hun, ham mutha par k 3 saal se uske sath reh rahi hun, or puri tarah Islam ko maan chuki or 5 waqt ki namaz parti hun, lekin us ladke k ghar waalo ne jabardasti 3 mahine pahle shadi karva di ,uski mammy ki tbyt kharab ho gai thi,isly mere saamne uski shadi ho gai,or usne mana kiya shadi k liye tb bhi koi nahi mana,jis ladki se uski shadi hui hai usko bhi usne bta diya tha ki usko shadi nahi karna h use, ladke ne kisi ko dhoka nahi diya hai, or ham hamare ghar waalo ko bta nahi skte hai, ager bta dete to WO log hame alag kar dete, jis ladki se shadi hui hai ladke ki WO uske sath nahi rhna chahta hai na usko marzi hai na dil hai,WO shadi k baad bhi mere sath he reh raha hai, or mai mutha par chuki hun or abhi pregnant hun, or nikah karna chahti hun, lekin mere maa baap tyar nahi honge , kya mai nikah kar skti hun. or ladka us ladki se alag hona chahta hai, wah kis tarah ho skta hai ? ab mai bhi dil se syed shia ho chuki hun. mai Allah ko maanti hun, ab mai kya karu, maa baap ka dil dukha nahi skte ham, isle ladke ne shadi kar li.iska koi rasta bataiye plz.. 
Answer Agar aap muta k waqt musalman theen tu aap ka muta durust shumaar hoga, or Lerka aap ko muta ki baaqi muddat maaf ker k aap se osi waqt nikah e daaimi(permanent marriage) ker sakta hay, yani iddat guzaarne ki bhi zarorat nahi hogi. Doosri bivi ko talaq daina bhi lazim nahi hay. Update on dated 31-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.