Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Mera sawal ye hai k ager hm kisi larki k sath kissing or touching karey lakin intercourse nai karey tu kia ye zina hai or is ki maafi kaisey hogi or ye gunna e kabira hai ya sagira qoitrate 
Answer 1)Na-mehram aurat ka boosa laina ya os ko choona(i.e touch) haram hay, laikin ye zina nahi hay. Zina karna gunah e kabira hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30 , Eidition 1430 hij). 2)sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gay.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.aap koshish karain k aap khud ko dosri mufeed kaamo main masroof ker lain jaisay khail, perhae waghaira waghaira or har os cheez se perhaiz karain jo aap ki jinsi khahish ko ubhaaray.or agar aap khud per qaabo nah rakh saktay hoon tu aap k liay wajib hoga k aap nikah karain.(Ref: Mafhoom e E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). Update on dated 10-04-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.