Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question meri biwi ke pehle khawand se 2 bete hein jo mere ghar un ke sath rehte hein, ab mere 2 bache hein meri biwi un bachon ko un ke baap ko nahi dena chahti or nahi us se milnwana chahti hy. to kiya wo theek kar rahi hy? mera zehen ye kehta hy ke wo 2 bache us ke baap ki amanat hein jo or amanat mein khayanat nahi honi chahiye. bara beta 13 saal ka ho chuka hy or wo apne baap se milna bhi chahta hy.  
Answer Jab tak lerka ya lerki 2 saal k nah hojaen unka baap unko unki maa se juda nahi ker sakta is liay k bachon ki negehdaasht maan or baap dono k zimme hai or ahwat or aola(behter) ye hai k bachon ko 7 sal tak unki maan se juda nahi kiay jaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2422-2462). Update on dated 14-04-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Note: Maan, bacho k baap ko bacho se milne se rookne ka huq nahi rakhti.  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.