Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question mai jb bhi padhai krne k liye baith rahi to bhot nind aari aur mai padh b nhi pari 2 din se mere diploma final yr k exam hai aur padhai me dil b nhi lgra plzz sir koi wafiza batayiye jis se meri nind b ud jaye aur paper b acche jaye  
Answer 1)Agar dil ilm k hasool may nah lagta ho to surah e alaq ki ayat # 1 ta 5 likh kar is k galay may dalain aur pani par parh k pelain to zehen aur aqal ki tezi k liay bhi mujarrab hay. (Ref : Kitab naway salaheen pg#346) . 2)Riwayat ke mutabiq Surah Taha ki Ayat 25,26,27,28 ko har roz 3 martaba parhay tu ye har qisam ki faramoshi ko khatam kerti ha or hafizay ko mazboot banati ha.(Ref: Nawa e Saliheen, pg#333) • Agar koi talib-e-ilm chata ha ke is ko sabaq yad ho jay tu is ko chaye ke Sura Aaraaf ayat 171 ko kisi kagaz per likh ker is kagas ko apnay mazmoon(sabject) ki kitab me rakh de tu wo sabaq is ko Insha Allah yad ho jay ga.(Ref: Naeemul amaal, pg#354). 3)Imtihaan me kamyabi ke liye ye nihayat mujarrab ha lihaza imtihaan me asaan exams ke liye center jane se pehle 7 martaba Surah Al-Infaal Ayat 62 ko awal or akir 3 martaba durood perh ker jay. (Ref: Naeemul amaal, pg#354). Update on dated 14-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.