Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aqae Sistani 
Question Molana sahib mujhe ap se ye swal karna hai k agar kisi shakhs per ghusl e janabat wajib hai or wo kisi waja se ghusal nhi kar pata yaha tak k namaz ka time bhi end pe aa jata hai yani agr ghusal ya ghusal k badley tayammum kre to namaz qaza ho jae gi to kya is surat mai baghair ghusal ya tayammum k namaz ada kre ya namaz qaza kr k parhe? jawab de kar mashkoor farmae. 
Answer Ghusal k badlay tayummum karain aur jis shakhs k pas namaz ki faqat aik rakat ada karnay ka waqt ho ose chahae k namaz ada ki niyat se parhay albetta ose jan boojh kar namaz me itni takheer nahi karni chahae. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 736) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.