Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question asslam u alaikum. sir mera question ye he ke sehri ke bahd apni b.v ke sath aik bister par so sakta he ya nai? aur agar sath lipat jaen ya bosa lain to rozay par asar paray ga ya nai? 
Answer 1) Rozay k doran jima karna rozay ko batil kar deta he lakin agar rozay daar mani nikalnay k iraday k baghair misaal k toor per apni biwi se cheirh chaarh ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga. Aur agar mani nikalnay k iraday se cheirh charh ya dil lagi karay lakin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ethiat e lazim ki bina per zarori he k rozay ko mukammal karay aur is ki qaza bhi baja laye. 2)rozay daar k liay ye makhroh hay k mani nikaalnay k iraday k baghair apni biwi ka bosa lay ya koe shewat angaiz kaam karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1565-1576, 1629) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.