Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question bait ul khala ma jana ka kya tareeqa ha aur kis taranh bait khala k bad khud ko dhona chahiya 
Answer 1) Mustahab he k Bait ul khala me jatay waqt pehlay bayaan(left) poun(leg) ander rakhay aur nikaltay waqt pehlay dayaan(right) poun bahar rakhay. Aur ye bhi mustahab he k rafa e hajat kartay waqt sar dhak kar rakhaain. Aur badan ka bojh bayen poun per dalain. 2)peshab ka makhraj pani k alawa kisi aur cheez se paak nahi hota he. aur ose aik martaba dhona kafi he albatta ethiyat e mustahab he k do martaba dohain aur behtr ye he k teen martaba dohain. 3)agar maqam e pakhana ko pani se paak kia jay to to zarori he k pakhanay ka koe zarra baqi na rehay albatta rung ya bo reh jay to koi haraj nahi aur agar pehli baar hi wo maqam is terah dhul jay k phakanay ka koe zarra baqi na rahay to dubara dhona lazim nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 75, 62, 63) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.