Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question plz tell me the proper way to offer prayer for women 
Answer Aurat kay liye Namaz parhnay ka tareeqa wohi hay jo mardoo kay liye hay magar ye kay namaz kay waqt aurat apna tamam badan hatta kay sar aur baal bhi dhaanpay aur aihtiyat-e-wajib ye hay kay apnay aap say bhi chupaaey,lihaza agar aurat chadar is tarah pehnay kay usay apna badan nazar aaraha ho to is main bhi ishkaal hay albatta chehray ka jitna hissa wuzu main dhoya jata hay aur kalaiyoon tak haath aur takhnoo tak paaon ka laazmi ka zahiri hissa dhanpna zaroori nahi hay laikin ye yaqeen karnay kay liye kay us nay badan ki wajib miqdaar shaanp li hay zaroori hay kay chehray kay atraaf ka kuch hissa aur kalaiyoon aur takhnoo say nichay ka kuch hissa bhi dhaanpay.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.777...Subah Maghrib aur Isha ki namaz main aurat alhamd aur soora buland ya aahista aawaz say ,jaisa chahay parh sakti hay.laikin agar na-mehram is ki awaz sun raha ho aur us ka sunna haram ho to aihtiyat-e-wajib ki bina par aahista parhay.aur kaifiyat ye ho kay usay apni awaz sunana haram ho to zaroori hay kay aahista parhay aur is kay ba-wajood agar jaan boojh kar buland awaz say parhay to aihtiyat ki bina par namaz batil hay.jab kay zohar aur asar ki namazoon main mardoo ki tarah aihtiyat ki bina par wajib hay kay aahista parhay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.979,981. 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.