Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name due band 
Question roze ki halat me agar ahtlam ajaye to kia roza toot jayega? aur roze me ghusal ka tareeqa bataden? 
Answer Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. 1)Agar be-ekhtari ki halat me kisi ki mani kharij ho jay to is ka roza batil nahi hota he. agar chah rozay dar ko ilm ho k agar soe ga to to ose ethilam ho jay ga yani sotay me is ki mani kharij ho jay gi. Tab bhi is k lie sona jaiz he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1570-71) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 2)Ghusl e janabat kartay waqt ki mustahib dua. ( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين ) (allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ). 3)Ghusl ka tareeqa : Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.