Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Agar roze se pehle mani nikalne k baad ghusal na kiya jaye or roza bagher ghusal k rakh liya jaye to kya ye darust hai?? 
Answer Ramzan main azaan subh tak janabat ki halat main rehna rozey ko batil kardeta hai , zarori hai k azan subh se phely ghusl karey. or agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah karey to zarori hai k is din ka roza pora karey or phir ek din or roza rakhey or pehla roza maa-fiz-zimma ki niyat se rakhey or ramzan k baad bhi jis din roza rakhey or os main qaza ki niyat nah karey. Is k alawa is per roze ka kaffara bhi wajib hoga. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masael 36th edition, maslah # 1591,1630). Update on dated 13-06-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.