Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question Salam-o Alikum ,I want to ask abut gushal .Gushal kub wajib hay ?.(napkai ki sorat main) Kai dafa asa ho jata hay kay koi galt ches dekh kar ya soch kar "eraction"(azoo khas)ho jata hay aur bhir napaki niqal jati hay ju kay kaproon per lag jati ..is sorrat main app nay amli toor per tu kisi ko hath bhi nhin lagya hota.(yani koi kam tu nhin kya hota) aur ager app ko yaqeen ho kay app apni us jaga ko ashi trhan say pani kay sath saf kar laytay hain tu bhir bhi gusal karna zaroori hay ? pura jism ka gela karna aur saf karna zaroori hay ? ya sirf us jaga ko saf kar kay bhir sirf Wozoo kar liya jay ?... bary merhbani tafseelan jawb day dain . 
Answer A.Sistani kay nazdeek,Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay kay liye aur aisi dosri ibadaat kay liye wajib hojata hay,laikin namaz-e-mayyat,sajda-e-sahw,sajda-e-shukr,aur Quran kay wajib sajdoon kay liye ghusl-e-janabat zaroori nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.65,Masala No.356...Do(2) cheezoon say insaan mujnib ho jata hay,aik jima aur dosray mani kharij honay say,khwah wo neend ki haalat main niklay ya jaagtay main ,kam ho ya ziada,shehwat kay saath niklay ya baghair shehwat kay,iska nikalna ikhtiyaar main ho ya na ho aur aisi soorat main us par ghusl-e-janabat wajib ho jata hay,sirf paani say us maqam ko dhona kaafi nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.62,Masala No.344...Ghusl-e-Irtimasi ya ghul-e-tarteebi main ghusl say pehlay saray jism ka paak hona zaroori nahi hay balkay agar paani main ghouta lagaey ya ghusl kay iraday say paani badan par daalnay say badan paak ho jaey to bhi ghusl sahih ho jaeyga.albatta ye zaroori hay kay jis paani say ghusl kar raha ho wo taharat ki haalat say kharij na hojaey.masalan kur pani say ghusl kar raha ho.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.66,Masala No.371...Jis shakhs nay ghusl-e-janabat kiya ho zaroori hay kay namaz kay liye wuzu na karay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.68,Masala No.389...Agar kisi shakhs kay badan say koi rutoobat kharij ho aur wo ye na janta ho kay ye mani hay ya peshab ya koi aur cheez,agar wo rutoobat shehwat kay saath aur uchal kar nikli ho aur uskay nikalnay kay baad badan sust ho gaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hay laikin agar ib teen(3) alamaat main say sari ki sari ya kuch maujood na hoon to wo rutoobat mani ka hukum nahi rakhti,laikin agar insaan beemaar ho to phir zaroori nahi kay wo ratoobat uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay baad badan sust ho jaey balkay agar sirf shehwat kay saath niklay to wo rutoobat mani kay hukum main hogee.Jo rutoobat cher chaar ya shehwat angaez tasawwuraat kay waqt insaan apni sharmgaah main mehsoos karta hay wo paak hay is say ghusl bhi wajib nahi hota aur na hi ye ratoobat wuzu ko baatil karti hay. 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.