Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Mujtahideen ki taqleed kis tarha ki jati or kis mujtahid ki taqleed krni chaiye? kia taqleed farz hai momin pr? 
Answer 1-Mujtahid ki taqleed os k fatway per amal kerne se ki jaati hay, yani mujtahid k jis fatwe per amal kia jaey tu kaha jaey ga keh aap ne os k os fatwe main oski taqleed ki. 2-Taqleed aisay mujtahid ki, ki jaey jo mard, baligh, aqil, 12 imami shia, halaal zadah, adil or zinda ho. Or agar maloom ho k paish anay walay masael main mujtahidden main ikhtelaaf hay tu phir aalam mujtahid ki taqleed ki jaey, yani os ka ilm digar mujtahideen se ziyada ho. Aaj k zamanay main Ayatullah sistani aik aalam mujtahid hain, aap on ki taqleed k mutabiq apnay amaal baja laa sakti hain. 3-Monin per farz hay k wo hokum e khuda k mutabiq apni zindagi k tamaam umoor ko baja laey or ibdaat o maamlaat main khuda k hokum per amal karay, or is k laiy ya tu khud mujtahid banaiy yani itna ilm hasil karay k khud Quran o tamaam ahadees ko perhay or samjahy or phir os se hukum e khuda ko hasil karay, ya phir apni ehtiyaat per amal kare yani apni ibadaat ko is terah baja laey k kisi mujtahid k fatwe k khilaaf nah ho, or ijtehaad o ehtiyaat k liay bohot ziyada ilm ki zarorat hoti hay jo k awaam k bas ki baat nahi. Layhaza jo shaks in dono kaamo se ajiz ho os per wajib hay k taqleed kare or mujtahid ki tehqeeq per amal kare. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame, Mafhoom e Maslah #3). Update on dated 18-06-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.