Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Agar aik insan par nahana parz ho jae aur wo bemar ho to use Kya karna chachie qoitrat 
Answer 1-Agar wo aisa beemaar ho k nahana os k liay nuqsandah ho tu os ko tayammum kerna chahiay. 2-Tayammum ka taraiqa: Wuzu ya ghusl k badley keye janey waley tayammum main teen cheezain wajib hain: (i)Dono hathelion ko aise cheez per maarna ya rakhna jis per tayammum karna sahi ho. Ehteyat-e-lazim ki bina per dono hath aik sath zameen per marney ya rakhne chaheyein. (ii)Dono hathelion ko pori peshani per sar k baal ugney ki jagah se abroo or naak k balai hissey tak peherna or esse tarhan ehteyat-e-wajib ki bina per peshani k dono taraf dono hathelion ko pehrna. Ehteyat-e-mustahab yeh hai keh hath abroo k oper bhi pehrey jain. (iii)Bayen hathele ko dayen hath ki tammam pusht per or us k baad dayen hathele ko bayen hath ki tammam pusht per pehrna. Zaroori hai keh tayammum, qurbatan elallah ki niyat se anjaam de jisa keh wuzu k masail main bataya ja chuka hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #690). Update on dated 21-06-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.