Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Salam, Mughe ye pochna ha k hamare yaha Masjid k Fitre box me Fitra dala jata ha. Jo k Eid ki namaz se pehle rakha hota ha. Kia hamari zimedari us box me fitra dal k khatam hojati ha? Masjid walo ka kehna yeh ha ka wo pehle hi Masjid k paiso se Fitra nikal lete ha phir jab unhe Eid k din logo ka dia hoa Fitra milta ha to wo is tarah wapis Masjid fund me dal dete ha. Kia ye jaiz ha? Shukria. 
Answer Is tarah se aap ka fitra ada nahi hoga, Q k jo raqam aap ne fitre ki niyat se nikaali hay wo raqam fitra shumaar hoti hay. Aap ko fitra dobara daina hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Ahkam e khumus w fitra, Sawal #2, pg#176). Update on dated 26-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.