Question |
Salam, ye sach ha k Allah pak ne Quran pak me irshad farmaya k jo shakhs gunah kary or phr muaffi ka talabgar ho to ham usy muaaf karty ha, Lakin Alkah ny ye b Quran Pak me farmaya k jo koi kisi gair k sath haram taluk qaim kary to ye qaraz ha or qaraz ki koi muaffi ni ha or is adaige us ki maa, behan, biwi ya beti ki surat me deni go ge. ab sawal ye ha k agar koi shakhs (umarried) gair mehram (unmarried) k sath jaan bhooj k relation qaim kary or zina k elawa har galat kam kary or bad me apny gunahon par nadim ho or istagfar kary or sachi toba kar lay. To kya is k baad bhe wo shaks is qaraz ka maqrooz rahy ga ya Allah usy muaf kar dy ga. Please mukmal detail k sath jawab dijiy ga. JazakAlkah. W salam |