Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question mani ke niklne ke bad kia pak hona zarori hai aur kia naha se pak ho jate hain? aur agar pak hona zarori hai tu pak hone ka kia tarika hai? aur mere sote wakt mani nikal jata hai iska koi hal hai...? 
Answer 1)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356) 2) Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365). (Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehai ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 357) Wazifa : 1)Agar kisi shakhs ko ye khof rehta ho k wo neend ki halat me mutahlim na ho jey is lie use chahaie k jab wo raat ko soney lage to ye dua parhe ethilam se amaan me rahe ga, Dua ye he ﺍﻟﻟﻬﻢ ﺍﻨﻰ ﺍﻋﻭﺬﺑﻚ ﻣﻦ ﺍﻻﺣﺘﻼﻢ ﻮ ﻣﻦ ﺴﻮﺀ ﺍﻻﺣﻼﻢ ﻮ ﻣﻦ ﺍﻦ ﻴﺘﻼﻋﺐ ﺒﻰ ﺍﻠﺷﻴﻂﺎﻦ ﻔﻰ ﺍﻠﻴﻘﻇﮫ ﻮ ﺍﻠﻤﻨﺎﻢ (ALLAA HUMMA IN’NEE A’OO’ZO BI KA MI’NAL EHTILAAMI WA MIN SOO’EIL AH’LA’MI WA MIN AN YA’TA’LAA’ABA BI’YASH’ SHAI’TAANO FIL YAQ’ZA’TI WAL MANAAMI). (Ref : Mafateehul jinaan k hasheeya main, mutarajjim allamah akhter abbas sahib, pg # 123-4). 2) Surah e al tariq k khawas me he k sote waqt is ko parh k ethilam nahi ho ga. (ref : mukhzane amaliat pg # 64, 65) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.