Answer |
1)Jima rozay ko batil kar deta he. chahae ozu e tanasul supari tak hi dakhil ho aur mani bhi kharij na ho.
2)Agar koi shakhs ramzan k roze ko khana(food), pina(drink),jima(hambistari), istimna, ya janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ekhtiyaar se aisa kia ho to is per qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koi mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1565, 1630). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|