Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Sunni 
Question Rozay ki halat me, Ehtalam aanay say kiya roza toot jaay ga. Rozay ki halat me Mashat Zani karnay say roza toot jaay ga. Kafara kesay kehtay hen. our kesay diya jaay.  
Answer 1)Agar be-ekhtari ki halat me kisi ki mani kharij ho jay to is ka roza batil nahi hota he. agar chah rozay dar ko ilm ho k agar soe ga to to ose ethilam ho jay ga yani sotay me is ki mani kharij ho jay gi. Tab bhi is k lie sona jaiz he. 2)Agar rozay dar istemna karay to roza batil ho jata he. 3)Agar koi shakhs ramzan k roze ko khana(food), pina(drink),jima(hambistari), istimna, ya janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ekhtiyaar se aisa kia ho to is per qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koi mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. 4)Ramzan ka roza torhne kay kaffare ke tor per zaroori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay do mahine(months) roze rakhe ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilaye ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zurari he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1570-71, 1569, 1630-32) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.