Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Kaha jata hai k imam hussain nae karbala mein bani asad k logoon ko bula kr kaha tha k 11 muharram ko aa kr humare janzae ko gusal o kafan dae dena. Aur yeh bhi kaha gaya hai k imam hussain ki sada e halmin pr labbaik wajib tha tw bani asad k logoon nae Q imam ki nusrat mein labbaik nahi kaha??? 
Answer Bariwayat e allama mohammad baqir majlisi k jub habib ibn e mazahir ne jub mukhalif simt lashkar ki kasrat mulahiza ki to imam hussain a.s k paas aakar arz ki k aey farzand e rasool s.a.w.w mai asadi hoon agar aap ijazat dain tu main bani asad k kabilay k paas jaata hoon jo yahan sai nazdeek hain un ko aap ki nusrat ki taraf dawat doon to imam ne unhen ijazat di, habib ibn e mazahir raat ki tareeki mai bani asad k kabilay main aey or kaha k main aaj tum loogo k liay aisi khushkhabri laya hoon jo is pehle koi nahi laya hoga, mai aya hoon k tumhe fazrzand e rasool ki nusrat ki dawat doon, tum loog meri dawat qubool karo takeh duniya o akhirat main kamiyaab ho jaon, us waqt un main say Abdullah ibn e basheer ne uth kar habib sai kaha k gawah rehna k sub sai pehle main ne tumhari dawat ko qubool kia hai us k baad dusre loog bhi qubool karne lage or is tarah habib ibn e mazahir 90 banday le kar rawana hoe to kisi munafiq ne ja kar umer ibne saad ko khabar day di to us ne arzaq e shami k saath 400 afrad ka kafla rawana kia or us kafley ne in ka raasta rook liya or in say larhne ka irada kia or un mai say kuch ko qatal kar dia or kuch lashkar laut gaye jub habib ibn e mazhahir ne imam ko bataya to imam ne kaha la hawla wala qoowata illa billah.(Ref: jame ut tawarikh page no 97). Update on dated 26-12-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.