Answer |
Aik shohar daar aurat ka kisi se shaadi karna haram hay lehaza jo aap ne baad mai shadi ki hai (jo k shadi nahi hai) zaroori hai k us shohar sai talaaq liay baghair hi alag ho jain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2366 ). or pehle wala hi shohar aap ka shohar hai, haan jahan tak baat hai k wo aap ka haq adaa nahi karta or naan o nafqa nahi daita tu us k lie aap ko chahiay k hakim shara ki taraf rujoo karain or un ko apna masla paish karain or un sai apni talaq ka mutaliba karain. (Ref:jadeed fiqhi masail ayatollah sistani masla no 428 page 241). Update on dated 22-12-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). |