Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Q1-Ehtalam k baad jism napak ho jata hy???Q2 Agar is napak jism sy means baghair ghusal kiye kisi chez ko choo liya jaye to Kya wo chez b napak ho jati hy??? Q3 ehtlam ki waja sy napak hony k baad agar napak kapry utar kr saaf kapry pehny jaen to Kya wo b napak ho jaen gy??? Answer plzzzzz 
Answer Janabat k baad ghusl se pehle insan k jism ka sirif wo hissa najis hota hay jis jagah per mani lagi hoe ho, or baqi badan paak rehta hay hatta k fail e haram sai mujnib hone wale ka badan or paseena paak hai lehaza agar wo bhi cheezon ko haath laga le to najis nahi hoti (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #114).or agar jism k kisi hissay par nijasat lagi ho or wo shaks paak kaprhay pehen le or wo nijasat paak kaprhon ko lag jaey to kaprhey bhi najis hoonge warna paak rahey gay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #119). Update on dated 13-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.