Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Ghebat kiya hai? Is ki meaning bataye example ke sath..jazakAllah 
Answer Gheebat sai muraad kisi muayyan shaks ka zikr is tarah karna hai jisey wo shaks suney to napasand karey chahey us ki is khasiyat ka taluk us k Akhlaq sai ho,surat sai ho ya us k khasais mai sai ho.gheebat sirf zaban sai nahi ki jati balkey is sai har wo qoul ya fail muraad hai jo kisi ki tehqeer ko zahir karey chahey zaban sai ho ya amal sai ho tehreer k zariye ho ya saraahat k saath ho. huzoor e akram s.a.w.w ney is ki tareef yun farmai hai “kisi bhai ka is tarah zikr karna jisey wo a pasand karey,pucha gaya agar wo khasiat ya naqs us mai moujood ho or hum us ka zikr karey tou? Farmaya haan agar koi aisa aib bayan karey jo us mai moujood ho tou ye “gheebat” hai or agar us mai moujood na ho tu ye “tauhmat” hai. (Ref:Book Akhlaq e Ahlebait page no 213). Update on dated 11-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.