Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Me path wig pehent hunyani 50% pr wig hai masa kaise kroun.. K wazu hojye 
Answer Agar aap k sar k saamne wale hissey mai wig nahi hai tou zaroori hai k sir k saamne waley hisse mai masah kia jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #248-49 ). Update on dated 11-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). or agar saamne wale hisse mai wig lagi hai or us wig ko hataya ja sakta hai tou zaroori hai k usey hata dia jaey.(Ref:Jadeed fiqhi masail fuqaha wa mujtahideen ki nazar mai,jild 2, baqoul ayatollah seestani,pg no 95)or agar wig aisi hai jisey utara nahi ja sakta ya us ka utarna shadeed takleef ka sabab hoga tou us shaks ka fareeza tayamum hai, lekin agar wo wig tayamum ki jagah par ho yane (peshani k kuch hissey par bhi ho)tou zaroori hai k wuzu or tayammum dono karey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #337). Update on dated 09-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.