Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question 5 waqth Namaz k sarH kithne Nafal pharne chahye hai or baaD ma ya PehlY pharne chahye hai sahI tareeqa Or waqth bta dijeay 
Answer 1)Mustahab namazain bohat si hain jinhein nafal namazain bhi kahtein hein. Ye namazain roz e jumma k alawa 34 rakaat hein jin me se 8 rakaat zohar ki, 8 rakaat asar ki, 4 rakaat magrib ki, 2 rakaat isha ki, 11 rakaat namaz shab ki aur 2 rakaat subah ki hoti hein. Lakin jumma k din zohar aur asar ki 16 rakaat nafal per 4 rakaat ka izafa hota he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 752) 2)Namaz e zohar ki nafal, zohar se pehlay parhi jati he. Is k awal waqt zohar se he aur is waqt tak baqi rehta he jab tak osi namaz e zohar se pehlay ada karna mumkin ho. Namaz e asar ki nafal asar ki namaz se pehlay parhi jati he aur is ka waqt tab tak baqi rehta he jab tak osi namaz e asar se pehlay ada karna mumkin ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 756,757) 3)Zohar aur asar ki namaz ka waqt zawaal e aftaab k baad se garoob e aftaab tak he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 718). Update on dated 09-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.