Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question 1:ayat from quran that why we open hands in namaz 2:why there is no zakat on rupees notes 3:if this(zakat not on rupees) then every one convert the things in money to save zakat 4:when i goto wash room after doing pis i do istebra then after that i feel that some drops are coming after some time are these najis  
Answer 1. har hukm-e-sharyi kay liyay zaroori nahi keh woh quran mein maujood ho. quran-e-saamit mein na sahi quran-e-naatiq nay to poori zindagi haath khol kar hi namaz parhi, yehi sab se bari daleel hai. Bukhari ki mashoor tareen hadees hai, jis mein Rasool S.A.W.W. farmatay hain: SALLU KAMA RA-AITUMUNI USALLI (tum us tarhan namaz parho jis tarhan mujhay namaz parhtay dekhtay ho.). hairaankun baat yeh hai keh Rasool S.A.W.W. yeh amal (yanay namaz) apni zindagi mein 1 or 2 times nahi baja lae aur na hi Rasool S.A.W.W. nay logo se chup kar namazain parheen. is key bawajood sirf panjagana namaz (5 time prayers) mein ehle-sunnat kay 5 alag alag (different) nazaryaat bangae. Hazrat Ali A.S. jo khud ehle-sunnat kay liyay khalifa-e-rashid ki haisiyat rakhtay hain, Bukhari & Muslim ki riwayat mein hai keh Matraf-bin-abdullah kehtay hain keh hum nay Basra mein Hazrat Ali A.S. kay peechay namaz parhi. jab hum namaz se farig huway to Imran-bin-haseen jo ke sahabiy-e-Rasool thay, unho nay mera haath pakar kar kaha: Unho nay (yanay Hazrat Ali A.S nay) aisi namaz parhai jaisi Rasool S.A.W.W. parhaya kartay thay. ya yoon kaha keh unho nay mujhay Rasool S.A.W.W. ki namaz yaad dila di. (REF. No.1: tayassar-ul-bari sharh-e-bukhari, jild no. 1, pg no. 544 & REF No.2: sahi muslim maa mukhtasar sharh-e-nuwi, jild no. 2, pg no. 20, translated by waheed-uz-zaman). is ka matlab Rasool S.A.W.W. ki wafaat hotay hi tareeqa-e-namaz mein tabdeeli ho chuki thi, warna Rasool S.A.W.W. aur Ashaab-e-Rasool haath khol kar hi namaz parha kartay thay. jaisay Aaini sharh-e-kanzu-ud-daqaiq, pg no. 250, nolakhshur (i.e a book name) mein likhtay hain: Rasool S.A.W.W. aur aap kay sahaba haath khol kar namaz parhtay, yahan tak keh un ki ungaliyoon (fingers) kay siro mein khoon (blood) utar aata. REF: Shiyat ka muqadima, pg no. 233+226+239+237. 2. A.Sistani kay nazdeeq jis maal ka insaan muawiza day kar malik huwa ho aur us nay woh maal tijarat aur faida hasil karnay kay liyay mehfooz rakha ho to chand sharait kay saat ehtiyaat ki bina par zaroori hai keh us ka chaleeswa (40th) hisa bataur-e-zakaat day. (to is surat mein rupay par bhi zakat ehtiyaat ki bina par wajib ho jaigi). REF: A.Sistani, tauzeeh-ul-masail, maal-e-tijarat ki zakat, pg no. 285. 3. is kay ilawa wali surato mein for example gehoon (wheat) aur jao par zakat us waqt wajib hoti hai jab inhain "gehoon" aur "jao" kaha jae. lihaza agar koi shaks gehoon aur jao par zakat wajib honay kay baad khetoon aur darakhtoon ko baich bhi day tab bhi baichnay walay par is ki zakat daina wajib hai. REF: A.Sistani, tauzeeh-ul-masail, masla no. 1824+1834. 4. (agar sahi tareeqay kay mutabiq istibra kiya hai aur phir) yeh ehtimaal ho raha hai keh peechab (urine) hai to is surat mein woh rutubat (liquid) paak samjhi jae gi. REF: A.Sistani, minhaj-us-saliheen, jild no. 1 (ebadaat), alfasl-ur-rabe: kaifiyat-ul-istibra. 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.