Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Asslam O Alaikim. aik kahtoon appnai shor k intaqal k bad appnai bachoo ki taleem o terbiyet kerti hain.or appnai shor k gher waloon k sath hi rehti hain.un ki amadni ka koi zerya nahi tu kiya un ko khumooss ka adah hissa hum kud say ada ker saktay hain.  
Answer Khums kay 2 hissay hotay hain,aik hissa kisi syed faqeer ya yateem syed ko diya jata hay ya aisay syed ko jo safar main na-chaar ho gaya ho,usko diya jasakta hay.jabkay khums ka dosra hissa sehm-e-Imam(as) hay jo zaroori hay kay maujooda zamanay main Jamiush Sharait Mujtahid ko diya jaey ya aisay kaamoon par kharch kiya jaey jis ki mujtahid nay ijazat dee ho,aur Aihtiyaat-e-Lazim ye hay kay wo Marja-e-Alam ho aur umoomi maslihatoon say aagaah ho.jis shakhs kay paas apnay aur apnay aihl-o-ayaal kay liye saal bhar kay akhraajaat na hoon aur uska koi roozgaar bhi na ho jis kay zariye wo apnay aihl-o-ayaal ka saal bhar ka kharcha poora kar sakay wo faqeer hay..Bayan karda masalay ki roshni main aap jis khatoon ko apna khums dena chahtay hain agar wo syeda hain aur faqeer hain to khums ka aadha hissa yani sehm-e-sadat day saktay hain,agar wo faqeer hain laikin ghair syed hain to phir mujtahid ki ijazat kay baghair khums nahi day saktay..Sehm-e-Sadat mujtahid ki ijazat kay baghair khud mustahiq tak pohuncha saktay hain ,agarchay aihtiyaat-e-mustahib hay kay ye bhi mujtahid ya is kay wakeel ko diya jaey.Ref:Istiftaat I-35,Tauzeehul Masail Pg.No.272,294.Masala No.1804,1953. 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.