Answer |
Fiqh e Jafery main bhi log 5 Namazain parhtay hain.Laikin Azan 3 is liye detay hain kion kay wo
Jam bainas Salatain kartay hain yani Zohar aur Asr ko Jama kartay hain aur Maghrib aur Isha ko
Jama kartay hain Kion in Namazon ko Juda kar kay Parhna Lazim nahi hay,Agarchay Afzal ye hay kay
har Namaz ko uskay Fazeelat kay Waqt main ada karain balkay fazeelat kay waqt kay bhi Awwal e
Waqt main ada karay.Kionkay Rasool SAwW nay Zohar o Asr aur Maghrib o Isha ko 1 Azan aur 2
Iqamatoon kay saath Jama kiya hay baghair kisi wajah kay.Ref:Isitiftaat A.Sistani I-8.
|