Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Aslam o Alikum, Sir mujay peshab aur mani kay katray atay han. to kya ma is halat me darood ka vird kr sakta hon. Please wazahat say bayan keje ga ku kay ma is ki waja say vird nahi kr pa raha hon. Please jald asy jald meri islah karain ta kay ma vird jari kr saku. Shukria, JazaqAllah.  
Answer Jee ha ker sakty hen. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #354 ).Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose “Mazi” kahte hain, wo paak hai. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise “Wazi” kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise “Wadi” kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #70 ). Update on dated 19-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.