Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Agar humare penis se safed chipchipa pani nikale to kya hum namaz padh sakte hai 
Answer Agar aap ko kisi tarah bhi yeh yaqeen ho jaey keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hi samjhi jaey gi. Aur agar maloom nah ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayen gee. 1)Shehwat k saath niklay. 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney k baad badan sust ho jaey. Laikin beemar honey ki sorat mein doosri aur teesri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayatullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345). Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aala-e-tanasul se kharij hoti hai ose “Mazi” kahte hain, wo paak hay. Is k alawa wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise “Wazi” kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab k baad nikalti hai aur jise “Wadi” kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #70 ). Update on dated 17-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.