Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Kya mubashrat k baad full ghusal jyez hai ya phir adhaa jism dho lena jyez hai kya?mera matlab k sar k baal na dhoye jyn jb k baki pora jism achey tareeky se soap se dhoyaa jye.kya ye krna jyez ya thk hai kya?or kya is taraha jism dhony k baad nmaz hoskti hai kya? 
Answer Ghusl ka tareqa ye hai k ehtiyat e lazim ki bina par niyat k sath pehle pura sir o garden aur baad mai badan dhona zarori hai.Is baat ka yaqeen hasil kernay k leye k donu hissay (sir o garde) aur (badan) ko mukammal tour par dho liya hai,jis hissay ko doein us k sath dusray hissay ki kuch miqdaar dhona zarori hai yani sir aur garden ko dhotay waqt kuch hissa ziada dhoya jaey baqi badan ko bhi shamil krtay hue ta k yaqeen ajaey k pura sir aur garden dhoya hai.is trha badn dhotay waqt thora upper garden ki janib sy shuru kia jae. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #360,362). Ghusul men un choty choty balon ka dhona zrori hy jo badan ka juz shumar hoty hen or lamby balon ka dhona wajib nhi hy balky agr paani ko is tarh jild tak puhanchaen k baal tar na ho to ghusul saheeh hy lekin unhy dhoey bagher paani jld tak puhchana mumkin na ho to unhen dhona zarori hy taky paani badan tak puhanch jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #378). Update on dated 13-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.