Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question assalam alikum,main bahut muskil mein hoon.main ne zina kiya hai .aaj se nahi pichle 4 saal se karta aa raha hoon,aaj main ne tauba karli hai .ye wada karliya hai ke doobara kabhi aisa nai karoonga.laikin woh ladki maan nai rahai ke woh gunah kiya hai.mera peecha nahi chood rahi hai.main bahut pareshan hogaya hoon.allah se bar bar poochta rehta hoon usko hidayat de allah? 
Answer Aap sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gen.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.aap koshish karain k aap khud ko dosri mufeed kaamo main masroof ker lain jaisay khail, perhae waghaira waghaira or har os cheez se perhaiz karain jo aap ko in kaamo ki janib ubhaaray or us larki sy contact na kren. (E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). Update on dated 19-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.