Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question what should b the distance b/w ladies and gents while offering prayers,give me answer acc. to aqaye khoi sahib & aqaye seestani sahib.  
Answer A.Sistani kay nazdeek : Namaz parhtay waqt aurat ko mard say itna aagay kharay hona chahiye kay mard kay ghutnay rakhay ki jaga par aurat kay sajda karnay ki jaga ho aur Aihtiyat e Mustahib ye hay kay mard kay kharay honay ki jaga par aurat kay sajda karnay ki jaga ho.aur agar dono saath saath kharay hon to beech main koi aisi cheez Haail honi chahiye jis ki wajah say dono aik dosray ko na dekh sakain ya phir dono kay darmiyan 10 haath ka faasla ho.Is masalay main Mehram aur Na mehram aur Shohar aur Bewi main koi Farq nahi hay.Ref: Minhaajus Saliheen A.Sistani Pg.182,183 Masala No.545.... A.Khoie kay nazdeek : Agar mard aur aurat aik saath kharay hon ya aurat aagay ho to in kay darmiyan koi deewar ya pardah ya koi doosri cheez Haail ho kay jis say wo aik doosray ko na dekh sakain ya phir in dono kay darmiyan aik baalisht ka fasla hona chahiye.aur agar 10 haath say kam faasla ho to namaz makrooh hogi.Ref: Tauzeehul Masail A.Khoie Pg.163,Namaz parhnay ki jaga (6th shart). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.